Sunday, 1 March 2015

Urdu Poetry - Part 1

Main aik buland hosle wala ziddi sa shakhs hun
Lekin
Jab teri yad se larta hun to ro parta hun.

---

Yad tum bhi hum ko karte ho yad hum bhi tum ko karte hain
Bus farq itna hai dost
Tum message dekh kar yad karte ho hum yad kar ke message karte hain

---

Ae zindagi itni badsalookiyan
Hum konsa bar bar ayen gay?

---

Ye dil na muskuraiya bachpan ki tarah
Me ne matti bhi jama ki aur khilonay bhi le kar dekhe.

---

Kabhi pathar ki thokar se bhi ati nahi kharash
Kabhi ik zara si bat se bhi insan bikhar jata hai

---

Na-janay q ik khayal sa aya hai abhi
Hum na hun gay to kya hamari kami mehsus ho gi tumhe

---


Tamana sar bulandi ki humain bhi tang karti hai
Magar hum dusrun ko roond kar oonchay nahi hote

---

Us ne badal di meri sari adatain pyar ka yaqeen dila kar
Aur phir chhor gya yeh keh kar ke tum badal gay ho

No comments:

Post a Comment